click here

Shirdi Wale Sai Baba from Amar Akbar Anthony



aa..aa..
zamaane mein kahan
tooti hui tasveer banti hai
tere darbaar mein
bigdi hui taqdeer banti hai

tareef teri
nikli hai dil se
aayi hai lab pe
ban ke qawaali

shirdi wale sai baba
aaya hai tere dar pe sawali
shirdi wale sai baba
aaya hai tere dar pe sawali

lab pe duaen
aankho main aansoo
dil main umeede
par jholi khaali

shirdi wale sai baba
aaya hai tere dar pe sawali
dar pe sawali
aaya hai dar pe sawali
shirdi wale sai baba
aaya hai tere dar pe sawali

ho ho…
o mere sai deva
tere sab naam leva
o mere sai deva
tere sab naam leva

khuda insaan saare
sabhi tujh ko hain pyaare
sune fariyaad sab ki
tujhe hai yaad sab ki

bada ya koi chhota
nahi mayoos lauta
ameeron ka sahara
gareebon ka guzara

teri rehmat ka kissa
baayan akbar kare kya
do din ki duniya
duniya hai gulshan
sab phool kaante
tu sab ka maali

shirdi wale sai baba
aaya hai tere dar pe sawali

khuda ki shaan tujh mein
dikhe bhagwaan tujh mein
khuda ki shaan tujh mein
dikhe bhagwaan tujh mein

tujhe sab maante hain
tera ghar jaante hain
chale aate hain daude
jo khush kismat hain thode

ye har raahi ki manzil
ye har kashti ka sahil
jise sab ne nikala
use tune sambhala
jise sab ne nikala
use tune sambhala

tu bichhdon ko milaaye
bujhe deepak jalaaye
tu bichhdon ko milaaye
bujhe deepak jalaaye
tu bichhdon ko milaaye
bujhe deepak jalaaye

ye ghum ki raatein
raatein yeh kaali
in ko bana de eid aur diwali

shirdi wale
sai baba
aaya hai tere
dar pe sawali
lab pe duaen
aankho main aansoo
dil main umeedein
par jholi khali

shirdi wale sai baba
aaya hai tere dar pe sawali
shirdi wale sai baba
aaya hai tere dar pe sawali

shirdi wale sai baba
aaya hai tere dar pe sawali
shirdi wale sai baba
aaya hai tere dar pe sawali


You can download from here

No comments:

Post a Comment